raat kitnī raushan hai kuchh likhā-paḌhī kar leñ aao phir ġhazal kah leñ
chāñdnī ke manzar meñ do ghaḌī zarā dahkeñ aao phir ġhazal kah leñ
in añdherī rātoñ ke ḳhaufnāk sāyoñ se bach ke sub.h tak jī leñ
zahr dhuup kā chakh kar maut ko ziyā baḳhsheñ aao phir ġhazal kah leñ
vo ki ek chehra hai yā kitāb yā dariyā yā koī samundar hai
nīm-bāz āñkhoñ meñ us kī jhāñk kar dekheñ aao phir ġhazal kah leñ
chāñdnī kā ras piine duur tak nikal jaa.eñ bhuul jaa.eñ duniyā ko
khurdurī sī saḌkoñ par der tak yūñhī ghūmeñ aao phir ġhazal kah leñ
jāñ-nashīñ se dushman tak saare rishte nātoñ ko pheñk deñ samundar meñ
lahr lahr bedārī kī hasīñ ridā oḌheñ aao phir ġhazal kah leñ
dardnāk chehroñ par muskurāhaTeñ oḌhe ḳhud ko jā-ba-jā becheñ
ham 'tapish' tumheñ guzrā vaqt maan kar socheñ aao phir ġhazal kah leñ