zauq rakhtā hai fikrmand tujhe
ho ke rahnā hai sar-buland tujhe
shā.erī kā sarāb tai karnā
kaun mānegā hosh-mand tujhe
ye tirā rakh-rakhāo ye bikhran
log karne lage pasand tujhe
phir koī ishq hai vabāl-e-jāñ
le uḌī husn kī kamand tujhe
gar ġhazal hī nahīñ 'tapish' phir kyā
ho gayā kyā ye aql-mand tujhe