Moni Gopal Tapish

sameT lo ye pyar ki nishaniyan sameT lo

Moni Gopal Tapish

sameT lo ye pyaar kī nishāniyāñ sameT lo
ye qissa-e-alam ruke kahāniyāñ sameT lo
havas ke haul-nāk bistaraoñ pe dam na toḌ deñ
ab apnī rābtoñ kī zindagāniyāñ sameT lo
kabhī to do ghaḌī ruko kī rāste udaas haiñ
kabhī to manziloñ kī ye ravāniyāñ sameT lo
qalam kī nok par jo zaḳhm haiñ unheñ havā na do
tum apne shauq kī ye nā-tavāniyāñ sameT lo
ye sard sard guftugū 'tapish' hai kis ke rū-ba-rū
sajāo bazm saarī bad-gumāniyāñ sameT lo
Top Urdushayar.com