tosha-e-dhūp se jismoñ ko tarāshe sūraj
kabhī patthar pe bhī kuchh naqsh ubhāre sūraj
muddateñ guzrīñ añdheroñ meñ basar kartā huuñ
merī bastī meñ kabhī koī ugaa.e sūraj
maiñ ki girvīda-e-shab huuñ ye bajā ham-nafaso
par kabhī aa ke sadā.eñ de pukāre sūraj
shab ke dāman meñ bhī haiñ chāñd sitāre lekin
dhuup pahlū meñ liye aañkh dikhā.e sūraj
terī yādoñ kā karam merī nigāhoñ kī 'tapish'
thak gayā huuñ mirī palkoñ se uThā.e sūraj