khiḌkiyāñ sab band kamroñ aur dālānoñ ke biich
baT ga.e parivār āḳhir saiñkaḌoñ ḳhānoñ ke biich
mujh ko duniyā jaan letī thī kisī ke naam se
vāqiye gum ho ga.e haiñ jaise afsānoñ ke biich
maiñ huuñ chhoTā tū baḌā hogā maiñ kaise maan luuñ
ab yahī charchā hai apnoñ aur begānoñ ke biich
ik taraf tark-e-ta.alluq ik taraf hai us kī yaad
hai kahāñ āsāñ guzarnā aise tūfānoñ ke biich
kho diyā har shaḳhs ne bīnā.ī kā radd-e-amal
ek chuTkī dhuup hī pheñkī thī dīvānoñ ke biich