Nasim Maysori

teri gali mein jo aae wo ghar nahin jate

Nasim Maysori

Mysore, Karnataka, India

1839-1888
tirī galī meñ jo aa.e vo ghar nahīñ jaate
jo tere dar pe haiñ vo dar-ba-dar nahīñ jaate
vo ā.eñge kabhī koThe pe imtihāñ kar lo
falak se bhāge to shams-o-qamar nahīñ jaate
masīh-o-bū-alī-sīnā kī kyā huī tashḳhīs
kisī ilaaj se dāġh-e-jigar nahīñ jaate
gale lagāte haiñ un ko bahāne ruḳhsat ke
chale sharāb ki ab ham-safar nahīñ jaate
vo kaun sub.h nahīñ karte shaam kā va.ada
vo shaam kaun sī hai jo mukar nahīñ jaate
paḌhāyā tote ko ik umr bevafā niklā
azal ke bigḌe kisī se sudhar nahīñ jaate
ye aage aage kañval le ke chal rahe ho kyuuñ
vo manziloñ meñ qamar ke agar nahīñ jaate
tumhārī chashmoñ ne ḳhat par magar na Daalī aañkh
ġhazāl kis liye raihāñ ko char nahīñ jaate
falak se pūchhiye dariyā kā shor kuchh bhī hai
jo nikle dil se ye naale kidhar nahīñ jaate
ġhubār aah kā mere hai jald rail se bhī
kuchh āb-e-barq ravish taar par nahīñ jaate
laḌā ke aañkh tum āñkhoñ se ho ga.e pinhāñ
par aañkh se mirī misl-e-nazar nahīñ jaate
makān aur to laa.eq nazar nahīñ aatā
ġharīb-ḳhāna to hai kyuuñ utar nahīñ jaate
ḳhayāl-e-sabza-e-ḳhat bhī ho ai janāb-e-ḳhizr
piye haiñ āb-e-baqā aap mar nahīñ jaate
dhaḌī jamāv malo mehñdī zulf suljhāo
ġhazab kā naaz hai tum kyuuñ sañvar nahīñ jaate
tumhārī choTī kī nāgin se khelte haiñ mudām
kisī balā se ye ushshāq Dar nahīñ jaate
ḳhafā nasīm se kitne haiñ vo ilāhī ḳhair
havā bhī khāne ko shām-o-sahar nahīñ jaate
Top Urdushayar.com