mire qarīb se guzre mujhe sadā bhī na de
zabāñ ko lafz nigāhoñ ko hausla bhī na de
ab us se kaise ta.alluq kī aarzū rakkheñ
duā-e-ḳhair to kyā vo ki bad-duā bhī na de
ye chāñdnī maiñ gilāsoñ meñ ghol duuñ na kahīñ
maiñ chāhtā huuñ vo yādoñ kā aasrā bhī na de
hamīñ pe sajte haiñ yaaro sharāb bhī ġham bhī
ḳhudā ke vāste ab koī mashvara bhī na de
mirī nigāh usī ruḳh kī hai asiir 'tapish'
jo apne ruḳh se kisī baat kā pata bhī na de