mehrbāñ mujh pe ho ai rashk-e-qamar aaj kī raat
aa mire chāñd ke TukḌe mire ghar aaj kī raat
raah bhuul aayā hai ik chāñd idhar aaj kī raat
kaisī ghar baiThī hai daulat mire ghar aaj kī raat
yaar aayā nahīñ kyuuñ kar ho basar aaj kī raat
tā-qayāmat nahīñ hone kī sahar aaj kī raat
aap se aap vo aa.e mire ghar aaj kī raat
dīn-o-duniyā kī nahīñ mujh ko ḳhabar aaj kī raat
kyuuñ ḳhafā mujh se hai vo rashk-e-qamar aaj kī raat
badlī badlī nazar aatī hai nazar aaj kī raat
ai sanam bahr-e-ḳhudā aap hī laa.eñ tashrīf
putliyoñ kā hai tamāshā mire ghar aaj kī raat
sādgī hai tirī pariyoñ kī banāvaT se sivā
sub.h ho jā.egī itnā na nikhar aaj kī raat
zulf suljhāte hue pyaar se vo dekhte haiñ
kyā maiñ ho jā.ūñgā manzūr-e-nazar aaj kī raat
merī gustāḳhī na yaad aa.e ilāhī hargiz
un ko bekal na kare fikr-e-kamar aaj kī raat
maañg motī se bharī hai na chaḌho koThe par
tum ko lag jā.egī tāroñ kī nazar aaj kī raat
lailatul-qadr hai ye yā shab-e-me.arāj hai ye
yaar ke zaanū pe apnā jo hai sar aaj kī raat
vasl ik parda-nashīñ se hai na ho ġhair kā daḳhl
sham.a tak aa.e na parvāne kā par aaj kī raat
mehmāñ aap bas itnā hī raheñ mere ghar
kal kā roz aaj kā din chaar pahar aaj kī raat
kal na dūñgā tujhe taklīf kuchh aisī vallāh
khol de band-e-qabā sharm na kar aaj kī raat
jalva kyā ḳhuub hai mahtābī kā mahtābī par
lutf-e-mai-noshī hai ai rashk-e-qamar aaj kī raat
bāġh-o-mai chāñdnī aur vasl-e-parī hai mujh ko
piite haiñ mere adū ḳhūn-e-jigar aaj kī raat
gul-badan pahne haiñ vo mahram-e-kamḳhāb nahīñ
niiñd aane kā mire dil meñ hai Dar aaj kī raat
kis zabāñ se ho bayāñ aao gale lag jaao
dil se dil hī sune kuchh dard-e-jigar aaj kī raat
baḳht-e-be-dār se vo chāñd mire haath aayā
āsmāñ tak haiñ mire dast-nigar aaj kī raat
haath se zulf vo suljhā.eñ to ho jā.ūñ nihāl
dekh luuñ naḳhl-e-tamannā ke samar aaj kī raat
āshiq-e-abrū ko kyā qatl karoge nādāñ
nannhī talvār jo hai zeb-e-kamar aaj kī raat
yaar kī zulf-e-zar-afshāñ mujhe yaad aatī hai
kyā hī siine se nikalte haiñ sharar aaj kī raat
bashkan-o-bashkan miinā kī sadā ko sun kar
aane paa.e na kahīñ miim basar aaj kī raat
gore gāloñ se na sarkāo siyah-zulfoñ ko
ḳhauf hai mujh ko na ho jaa.e sahar aaj kī raat
āshiq-e-zulf ko do bosa-o-ḳhatt-o-abrū
mus.haf-e-ruḳh pe likhūñ zer-o-zabar aaj kī raat
raqs is zohra-jabīñ kā hai adū ke ghar meñ
mehr mīzāñ meñ hai aqrab meñ qamar aaj kī raat
haath vo joḌte haiñ sar hai mirā qadmoñ par
ho na samjhāne manāne meñ sahar aaj kī raat
ḳhufta-baḳhtī se ilāhī ye kahīñ so jaa.eñ
topchī zāhid-o-murġhān-e-sahar aaj kī raat
gul-e-shabbū hai lajā lo gul-e-sūdī hai gulāb
sharm-o-ġhussa hai araq meñ vo haiñ tar aaj kī raat
āsmāñ par hai dimāġh ab nahīñ milne ke 'nasīm'
mehrbāñ un pe hai ik rashk-e-qamar aaj kī raat