silsila zaḳhm zaḳhm jaarī hai
ye zamīñ duur tak hamārī hai
is zamīñ se ajab ta.alluq hai
zarre zarre se rishtedārī hai
maiñ bahut kam kisī se miltā huuñ
jis se yaarī hai us se yaarī hai
naav kāġhaz kī chhoḌ dī maiñ ne
ab samundar kī zimmedārī hai
bech Daalā hai din kā har lamha
raat thoḌī bahut hamārī hai
ret ke ghar to bah ga.e lekin
bārishoñ kā ḳhulūs jaarī hai
koī 'nazmī' guzār kar dekhe
maiñ ne jo zindagī guzārī hai