Akhtar Nazmi

kab logon ne alfaz ke patthar nahin phenke

Akhtar Nazmi

Akola, Maharashtra, India

1931
kab logoñ ne alfāz ke patthar nahīñ pheñke
vo ḳhat bhī magar maiñ ne jalā kar nahīñ pheñke
Thahre hue paanī ne ishāra to kiyā thā
kuchh soch ke ḳhud maiñ ne hī patthar nahīñ pheñke
ik tanz hai kaliyoñ kā tabassum bhī magar kyuuñ
maiñ ne to kabhī phuul masal kar nahīñ pheñke
vaise to irāda nahīñ tauba-shikanī kā
lekin abhī TuuTe hue sāġhar nahīñ pheñke
kyā baat hai us ne mirī tasvīr ke TukḌe
ghar meñ hī chhupā rakkhe haiñ bāhar nahīñ pheñke
darvāzoñ ke shīshe na badalvā.iye 'nazmī'
logoñ ne abhī haath se patthar nahīñ pheñke
Top Urdushayar.com