Akhtar Nazmi

ab nahin lauT ke aane wala

Akhtar Nazmi

Akola, Maharashtra, India

1931
ab nahīñ lauT ke aane vaalā
ghar khulā chhoḌ ke jaane vaalā
ho ga.iiñ kuchh idhar aisī bāteñ
ruk gayā roz kā aane vaalā
aks ā.ankhoñ se churā letā hai
ek tasvīr banāne vaalā
laakh hoñToñ pe hañsī ho lekin
ḳhush nahīñ ḳhush nazar aane vaalā
zad meñ tūfān kī aayā kaise
pyaas sāhil pe bujhāne vaalā
rah gayā hai mirā saaya ban kar
mujh ko ḳhātir meñ na laane vaalā
ban gayā ham-safar āḳhir 'nazmī'
rāsta kaaT ke jaane vaalā
Top Urdushayar.com