jo bhī mil jaatā hai ghar-bār ko de detā huuñ
yā kisī aur talabgār ko de detā huuñ
dhuup ko detā huuñ tan apnā jhulasne ke liye
aur saaya kisī dīvār ko de detā huuñ
jo duā apne liye māñgnī hotī hai mujhe
vo duā bhī kisī ġham-ḳhvār ko de detā huuñ
mutma.in ab bhī agar koī nahīñ hai na sahī
haq to maiñ pahle hī haqdār ko de detā huuñ
jab bhī likhtā huuñ maiñ afsānā yahī hotā hai
apnā sab kuchh kisī kirdār ko de detā huuñ
ḳhud ko kar detā huuñ kāġhaz ke havāle aksar
apnā chehra kabhī aḳhbār ko detā huuñ
merī dūkān kī chīzeñ nahīñ biktī 'nazmī'
itnī tafsīl ḳharīdār ko de detā huuñ