Akhtar Nazmi

KHayal usi ki taraf bar bar jata hai

Akhtar Nazmi

Akola, Maharashtra, India

1931
ḳhayāl usī kī taraf baar baar jaatā hai
mire safar kī thakan kaun utaar jaatā hai
ye us kā apnā tarīqa hai daan karne kā
vo jis se shart lagātā hai haar jaatā hai
ye khel merī samajh meñ kabhī nahīñ aayā
maiñ jiit jaatā huuñ baazī vo maar jaatā hai
maiñ apnī niiñd davāoñ se qarz letā huuñ
ye qarz ḳhvāb meñ koī utaar jaatā hai
nasha bhī hotā hai halkā sā zahar meñ shāmil
vo jab bhī miltā hai ik Dañk maar jaatā hai
maiñ sab ke vāste kartā huuñ kuchh na kuchh 'nazmī'
jahāñ jahāñ bhī mirā iḳhtiyār jaatā hai
Top Urdushayar.com