ye aane vaalā zamāna hameñ batā.egā
vo ghar bānegā apnā ki ghar basā.egā
maiñ saare shahr meñ badnām huuñ ḳhabar hai mujhe
vo mere naam se kyā fā.eda uThā.egā
phir us ke ba.ad ujāle ḳharīdne hoñge
zarā sī der meñ sūraj to Duub jā.egā
hai sair-gāh ye kachchī muñDer sāñpoñ kī
yahāñ se kaise koī rāsta bānegā
sunā.ī detī nahīñ ghar ke shor meñ dastak
maiñ jāntā huuñ jo aa.egā lauT jā.egā
maiñ soch bhī nahīñ saktā thā un uḌānoñ meñ
vo apne gaañv kī miTTī ko bhuul jā.egā
hazāroñ rog to paale hue ho tum 'nazmī'
bachāne vaalā kahāñ tak tumheñ bachā.egā