likhā hai mujh ko bhī likhnā paḌā hai
jahāñ se hāshiya chhoḌā gayā hai
agar mānūs hai tum se parinda
to phir uḌne ko par kyuuñ toltā hai
kahīñ kuchh hai kahīñ kuchh hai kahīñ kuchh
mirā sāmān sab bikhrā huā hai
maiñ jā baiThūñ kisī bargad ke nīche
sukūñ kā bas yahī ek rāsta hai
qayāmat dekhiye merī nazar se
savā neze pe sūraj aa gayā hai
shajar jaane kahāñ jā kar lagegā
jise dariyā bahā kar le gayā hai
abhī to ghar nahīñ chhoḌā hai maiñ ne
ye kis kā naam taḳhtī par likhā hai
bahut rokā hai is ko pattharoñ ne
magar paanī ko rāsta mil gayā hai