kyā kahiye dāstān-e-tamannā badal ga.ī
un kī badalte hī duniyā badal ga.ī
ye daur-e-inqilāb hai ḳhud-noshiyoñ kā daur
har mai-kade meñ gardish-e-mīnā badal ga.ī
har phuul har kalī pe barastā hai ab lahū
rañgīnī-e-bahār-e-chaman kyā badal ga.ī
nikhrī huī bahār meñ chhāle haiñ ḳhūñ-chakāñ
apne qadam se qismat-e-sahrā badal ga.ī
paiham Tapak paḌe jo ba-hasrat huzūr-e-dost
in āñsuoñ se sharah-e-tamannā badal ga.ī
āzādī-e-junūñ kā yahī kyā ma.aal thā
zindāñ se dil-farebī-e-sahrā badal ga.ī
vo ḳhvāb-e-zindagī thā jo ham dekhte rahe
ai 'dil' khulī jab aañkh to duniyā badal ga.ī