Dil Shahjahanpuri

mayus-e-azal hun ye mana nakaam-e-tamanna rahna hai

Dil Shahjahanpuri

Shahjahanpur, Uttar pradesh, India

1875-1959
māyūs-e-azal huuñ ye maanā nākām-e-tamannā rahnā hai
jaate ho kahāñ ruḳh pher ke tum mujh ko to abhī kuchh kahnā hai
khīñcheñge vahāñ phir sard aaheñ āñkhoñ se lahū phir bahnā hai
afsāna kahā thā jo ham ne dohrā ke vahīñ tak kahnā hai
dushvār bahut ye manzil thī mar miT ke tah-e-turbat pahuñche
har qaid se ham āzād hue duniyā se alag ab rahnā hai
rakhtā hai qadam is kūcha meñ zarre haiñ qayāmat-zā jis ke
anjām-e-vafā hai nazroñ meñ āġhāz hī se dukh sahnā hai
ai paik-e-ajal tere hāthoñ āzād-e-ta.alluq ruuh huī
tā-hashr badal saktā hī nahīñ ham ne vo libās ab pahnā hai
ai girya-e-ḳhūñ tāsīr dikhā ai josh-e-fuġhāñ kuchh himmat kar
rañgīñ ho kisī kā dāman bhī ashkoñ kā yahāñ tak bahnā hai
apnā hī savāl ai 'dil' hai javāb is bazm meñ āḳhir kyā kahiye
kahnā hai vahī jo sunñā hai sunñā hai vahī jo kahnā hai
Top Urdushayar.com