Dil Shahjahanpuri

husn ne man liya qabil-e-tazir mujhe

Dil Shahjahanpuri

Shahjahanpur, Uttar pradesh, India

1875-1959
husn ne maan liyā qābil-e-tāzīr mujhe
nazar aa.ī hai mohabbat kī ye taqsīr mujhe
kyuuñ na ho bāda-e-sar-josh kī tauqīr mujhe
mil ga.ī pīr-e-ḳharābāt se tahrīr mujhe
jalva-e-husn ke mafhūm pe jab ġhaur kiyā
ek dhundlī sī nazar aa.ī hai tasvīr mujhe
ab mirī vahshat-e-rusvā kā ajab aalam hai
kar diyā aap ne vābasta-e-zanjīr mujhe
be-takalluf ruḳh-e-zebā se uThā.e vo naqāb
husn ḳhud pā.egā ek paikar-e-tasvīr mujhe
zindagī ik na.e aalam meñ nazar aatī hai
le chalī aaj kahāñ gardish-e-taqdīr mujhe
khich ga.ī dil-kashī-e-husn marī nazroñ meñ
jī bahalne ko milī aap kī tasvīr mujhe
zulf-e-shab-gūñ ruḳh-e-anvar kī satā.ish ko sivā
koī mazmūn na milā qābil-e-tahrīr mujhe
husn-e-dilkash ke talavvun pe nazar jab pahuñchī
na rahā phir gila-e-gardish-e-taqdīr mujhe
Top Urdushayar.com