ab koī ġham-gusār hamārā nahīñ rahā
duniyā ko e'tibār hamārā nahīñ rahā
is fart-e-ġham meñ ḳhuun ke aañsū Tapak paḌe
ab dil bhī rāzdār hamārā nahīñ rahā
us kī huzūr pīr-e-muġhāñ meñ hai manzilat
jo ahd-e-pā.edār hamārā nahīñ rahā
har daaġh ubhar ke zaḳhm banā zaḳhm rashk-e-gul
dil mā.il-e-bahār hamārā nahīñ rahā
ye hai ma.āl-e-sohbat-e-zāhid janāb-e-dil
rindoñ meñ ab shumār hamārā nahīñ rahā