Nasim Maysori

aai bahaar daur ho saqi sharab ka

Nasim Maysori

Mysore, Karnataka, India

1839-1888
aa.ī bahār daur ho saaqī sharāb kā
dariyā bahā de bazm meñ ashk-e-kabāb kā
is āftāb-e-ruḳh pe nazar apnī paḌte hī
shabnam kī tarah uḌ gayā parda hijāb kā
kis bevafā pe martā hai kyā kījiye use
ghar aur ho kahīñ dil-e-ḳhāna-ḳharāb kā
karne to do savāl kareñ haiñ to kyā
āshiq huuñ maiñ bhī ik but-e-ḳhāna-ḳharāb kā
har-dam vo mujh ko dekh ke abrū chaḌhāte haiñ
pyāsā hai ḳhanjar un kā mire ḳhūn-e-nāb kā
qadmoñ ko chūmtā ai sanam āte-jāte maiñ
kyuuñ sañg meñ banā nahīñ terī janāb kā
sadme firāq-e-yār ke kyā kam haiñ ai 'nasīm'
mahshar meñ mujh ko ḳhauf nahīñ kuchh hisāb kā
Top Urdushayar.com