mai-e-kausar kā asar chashm-e-siyah-fām meñ hai
sāqī-e-mast ajab kaif tire jaam meñ hai
dekhiye faisla-e-yās-o-tamannā kyā ho
sub.h-e-mahshar kī jhalak tīrgi-e-shām meñ hai
nigah-e-mast kā phir zohd-shikan duur chale
phir Dhale bāda-e-sarjosh jo is jaam meñ hai
chhā ga.e sheva-e-bedād pe dilkash naġhme
maiñ qafas meñ huuñ ki sayyād mire daam meñ hai
mutma.in ḳhud hī nahīñ phir asar-andāz ho kyā
pand-e-vā.iz abhī andesha-e-anjām meñ hai
aarzū lutf talab ishq sarāsar nākām
mubtalā zindagi-e-dil inhīñ auhām meñ hai