tamkīñ hai aur husn-e-garebāñ hai aur ham
ḳhuddāriyoñ kā ḳhvāb-e-pareshāñ hai aur ham
sāhil se duur ġharq huī kashtī-e-ummīd
maujoñ ko chheḌtā huā tūfāñ hai aur ham
kis ne harīm-e-nāz kā parda ulaT diyā
nazroñ meñ ek sho.ala-e-larzāñ hai aur ham
terī tajalliyāñ haiñ jahāñ tak nazar ga.ī
asrār-e-kā.enāt kā irfāñ hai aur ham
bālīñ se kaun mahv-e-tabassum guzar gayā
ab har nazar bahār-e-bad-amāñ hai aur ham
vāraftagī-e-ishq ne pahuñchā diyā kahāñ
ḳhāmosh ik fazā-e-bayābāñ hai aur ham
ai 'dil' ye sun rahe haiñ ki duniyā badal ga.ī
ab tak unhīñ hadoñ meñ bayābāñ hai aur ham