jahāñ tak ishq kī taufīq hai rañgīñ banāte haiñ
vo sunte haiñ ham un ko sar-guzasht-e-dil sunāte haiñ
udhar haq-ul-yaqīñ hai ab vo aate ab vo aate haiñ
udhar anjum mirī is zehniyat par muskurāte haiñ
shab-e-ġham aur mahjūrī ye aalam aur majbūrī
Tapak paḌte haiñ aañsū jab vo ham ko yaad aate haiñ
vahīñ se dars-e-husn-o-ishq kā āġhāz hotā hai
jahāñ se vāqi.āt-e-zindagī ham bhuul jaate haiñ
hameñ kuchh ishq ke mafhūm par hai tabsira karnā
ik āh-e-sard ko unvān-e-sharah-e-ġham banāte haiñ
bahā kar ashk-e-ḳhūñ khīñchī thiiñ jo ā.īna-e-dil meñ
ham un mauhūm tasvīroñ ko ab rañgīñ banāte haiñ
shabāb-e-zindagī jalvoñ kā ik ma.asūm nazzāra
hameñ ai dil vo afsāne abhī tak yaad aate haiñ