sabza-e-ḳhat hai payambar ruḳh hai qur.ān-e-bahār
tū hai qibla tū hai ka.aba tū hai īmān-e-bahār
mere rone se huī fasl gulistān-e-bahār
ho gayā mīzāb-dīda miir sāmān-e-bahār
sarv ko jogī samajh kar faal khulvāne lagī
kyā ḳhizāñ meñ rahte haiñ bulbul ko armān-e-bahār
shāḳh-e-gul jumbish kahāñ karte haiñ matvāloñ kī tarah
bulbuloñ ke bose le lete haiñ mastān-e-bahār
hijr-e-be-ummīd-e-vaslat meñ koī jiinā bhī hai
bulbuloñ ke hote haiñ kuchh ahd-e-paimān-e-bahār
sarv ke misre ke ma.anī bulbuloñ se pūchh lo
andalīboñ se suno sharh-e-gulistān-e-bahār
zulf-e-gul ro ke gale mil kar jo aa.egī 'nasīm'
hogī sumbul af.ī-e-ganj-e-shahīdān-e-bahār