aks har tarah ke ḳhush ho ke hameñ piine haiñ
ham bhī dīvāroñ pe laTke hue ā.īñe haiñ
tairtī kaa.ī ke TukḌe ye sadā dete the
chaak nadiyoñ ke garebān hameñ siine haiñ
khā ga.ī un ko bhī āḳhir mire māhaul kī dhuup
jaltī shāḳhoñ se bhī kuchh saa.e agar chhīne haiñ
sīḌhiyāñ dil ke taqāzoñ kī chaḌhoge kab tak
jin kā āḳhīr nahīñ hai ye vahī ziine haiñ
kyā ḳhabar thī ki ujāle nahīñ deñge 'nudrat'
vo sitāre jo añdheroñ ke liye chhīne haiñ