vo jidhar bhī nazar uThāve hai
zindagī kā pata batāve hai
duur tak koī bhī nahīñ ab to
kaun ye shor sā machāve hai
us saḌak par vo ghar nahīñ miltā
jo saḌak us ke ghar ko jaave hai
koī to baat hai jo maiñ chup huuñ
varna yuuñ kaun dil jalāve hai
maiñ to us kā pata huuñ lekin vo
mujh se apnā pata chhupāve hai
us se kaTtā nahīñ daraḳht koī
narm shāḳhoñ ko vo jhukāve hai
sahmā rahtā huuñ ghar ke andar bhī
jaane kyā shai mujhe Darāve hai
aao nudrat-'navāz' lauT chalo
vo kahāñ apne lab hilāve hai