Mughni Tabassum

faza mein naghma-e-awaz-e-pa hai mere liye

Mughni Tabassum

Hyderabad, Telangana, India

1931-2012
fazā meñ naġhma-e-āvāz-e-pā hai mere liye
karāñ se tā-ba-karāñ ik nidā hai mere liye
maiñ apnī zaat meñ lauTā to phir milā na mujhe
vo ek shaḳhs jo rotā rahā hai mere liye
sabab hai ranj kā kuchh ḳhū-e-iztirāb mirī
kuchh apne aap se bhī vo ḳhafā hai mere liye
falak tamām hai āġhosh-e-bāb-e-mahrūmī
shajar shajar yahāñ dast-e-duā hai mere liye
kisī firāq kī tamhīd ban ke rah jaanā
tire visāl kī taskīñ bhī kyā hai mere liye
Top Urdushayar.com