Mughni Tabassum

ranj-e-giran-e-shauq ka hasil na kah ise

Mughni Tabassum

Hyderabad, Telangana, India

1931-2012
ranj-e-girān-e-shauq kā hāsil na kah ise
tark-e-safar kiyā hai tū manzil na kah ise
ye zabt zabt-e-ġham nahīñ ik be-dilī sī hai
ye dil harīf-e-dard nahīñ dil na kah ise
tuġhyāniyāñ kuchh aur haiñ maujoñ meñ ret kī
maiñ Dūbtā huuñ ishrat-e-sāhil na kah ise
martā nahīñ huuñ maut kī be-hāsilī pe maiñ
jiitā agar huuñ ulfat-e-hāsil na kah ise
milnā safar kā aur bichhaḌnā safar kā hai
duniyā to rahguzār hai mahfil na kah ise
Top Urdushayar.com