qubūl kījiye inkār kā maqām nahīñ
ye jām-e-mai hai parī-vasl kā payām nahīñ
ajiib hai ye sarāpā kamar kā naam nahīñ
kuchh un kī be-dahnī meñ mujhe kalām nahīñ
hai kaun shaiḳh-o-barahman jo dil se raam nahīñ
tumhārā dair se kab tā-haram ḳhirām nahīñ
liyā jo mol zuleḳhā ne māh-e-kan.āñ ko
kahā jamāl ne sāhab huuñ maiñ ġhulām nahīñ
bahak na jā.ūñ jo pī jā.ūñ bahr-e-mai saaqī
savārī hech hai jab haath meñ lagām nahīñ
uThā le haath jafā-o-sitam se ai zālim
ḳhudā ke paas bhī is se baḌā salām nahīñ
safeñ haiñ jaam kī mai-ḳhāna apnī masjid hai
ba-juz sharāb kī botal ke yaañ imaam nahīñ
jo ek bosa-e-lab luuñ hazār shukr karūñ
tire raqīb sā maiñ bhī namak-harām nahīñ
maiñ aap kartī huuñ ḳhidmat kahā zuleḳhā ne
tirī ġhulāmī ke laa.eq koī ġhulām nahīñ
vazīfa hai tire husn-o-adā-o-ġhamze kā
kisī bashar kī zabāñ par kisī kā naam nahīñ
mire gunāhoñ ko aur kis se baḳhshvā.ūñ maiñ
shafī.a juz tire yā sayyad-e-anām nahīñ
firāq meñ nahīñ piitā maiñ aab tak mai kyā
ilāhī banda tirā shārib-e-mudām nahīñ
chale na jaa.e vo ghar ko usī bahāne se
sunā do mere janāze ko izn-e-ām nahīñ
hujūm-o-yās-o-alam dil ko mere ghere haiñ
ki muntazir hai jamā.at magar imaam nahīñ
kab aane paatā hai rindoñ meñ naam zāhid kā
hamārī bazm meñ bole kabāb-e-ḳhām nahīñ
na phuul jaao 'nasīm' un ke phuul pheñke par
guloñ kī mehr-o-mohabbat ko kuchh qayām nahīñ