girnā nahīñ hai aur sambhalnā nahīñ hai ab
baiThe haiñ rahguzār pe chalnā nahīñ hai ab
pichhlā pahar hai shab kā savere kī ḳhair ho
bujhte hue charāġh haiñ jalnā nahīñ hai ab
hai āstīñ se kaam na dāman se kuchh ġharaz
patthar bane hue haiñ pighalnā nahīñ hai ab
manzar Thahar gayā hai koī dil meñ aan kar
duniyā ke saath us ko badalnā nahīñ hai ab
lab-āshnā-e-harf-e-tabassum nahīñ rahe
dil ke lahū ko ashk meñ Dhalnā nahīñ hai ab