Nasim Maysori

jumbish-a-abru-e-qatil kabhi aisi to na thi

Nasim Maysori

Mysore, Karnataka, India

1839-1888
jumbish-a-abrū-e-qātil kabhī aisī to na thī
bulbul-e-jāñ mirī bismil kabhī aisī to na thī
va.ada-e-vasl kiyā kis ne diyā dam kis ne
be-qarārī tujhe ai dil kabhī aisī to na thī
ai shah-e-husn raqīb aap kā qādir niklā
fauj ushshāq kī be-dil kabhī aisī to na thī
mehrbāñ aa.e kidhar aaj kidhar niklā chāñd
rashk-aflāk ye mahfil kabhī aisī to na thī
vo mah-e-nau magar aayā kisī mahtābī par
chāñdnī ai mah-e-kāmil kabhī aisī to na thī
apne kāshāne se kyuuñ ġhair ke ghar ho aa.e
māh-rū aap kī manzil kabhī aisī to na thī
kis tarah vasl huā us gul-e-zebā se 'nasīm'
ḳhush-nasībī mujhe hāsil kabhī aisī to na thī
Top Urdushayar.com