ham yūñhī bikhre nahīñ har-sū ḳhas-o-ḳhāshāk meñ
haiñ numū-bar-dosh rañg-o-bū ḳhas-o-ḳhāshāk maiñ
us ke hone kā gumāñ rahtā hai mere ās-pās
har taraf rach-bas ga.ī ḳhushbū ḳhas-o-ḳhāshāk maiñ
ho samar-āvar hamārī ābla-pā.ī kahīñ
chain aa jaa.e kasī pahlū ḳhas-o-ḳhāshāk maiñ
chāhiye hotī hai kisht-e-zar ko jab bhī kuchh numū
maiñ bahā detā huuñ kuchh aañsū ḳhas-o-ḳhāshāk meñ
jāntī hai vo basīrat tak ko uljhāne kā fan
jau kashish hai sūrat-e-jādū ḳhas-o-ḳhāshāk maiñ
jab udhar uThte haiñ tāle-āzmā.ūñ ke qadam
bujhne lagte haiñ idhar jugnū ḳhas-o-ḳhāshāk maiñ
ye to ai 'jāved' guzre mausamoñ kī raakh hai
āḳhirash kyā DhūñDhtā hai tū ḳhas-o-ḳhāshāk maiñ