aaj sayyād ne bhūle se chaman dikhlāyā
merī taqdīr ne phir mujh ko vatan dikhlāyā
ain mastī meñ jo vo shoḳh huā sar ki jabīñ
ye uḌe hosh ki nashshe ne hiran dikhlāyā
jhuT-puTā vaqt huā maut kā sāmāñ shab-e-vasl
sahar-e-hijr kā murdoñ ne kafan dikhlāyā
chāñd ko dekhte haiñ loTte añgāroñ par
tum ne kyuuñ kabk-e-darī ko ye chalan dikhlāyā
aa.e vallāh dil-e-hairān meñ kyā kuchh armāñ
us ne ā.īne ko tan tan ke jo tan dikhlāyā
marte jiite hī rahe ham to ajī dam dam meñ
na kamar us ne dikhā.ī na dahan dikhlāyā
yaad meñ phuul se gāloñ ke sambhālā dil ko
kabhī nasrīñ to kabhī us ko saman dikhlāyā
phir tirā shor-e-tabassum jo namak-rez huā
phir mirā taaza mujhe zaḳhm-e-kuhan dikhlāyā
kal jo thā va.ada-e-vasl aaj vo fardā niklā
din qayāmat kā to ai va.ada-shikan dikhlāyā
kyuuñ na maiñ ḳhaar banūñ chashm-e-raqībāñ meñ 'nasīm'
phuul se gaal mujhe ġhuncha-dahan dikhlāyā