mere ahvāl kā afsāna banāyā hotā
har parī-zād ko dīvāna banāyā hotā
tū jo raushan mirā kāshāna banāyā hotā
muñh har ik sham.a se parvāna banāyā hotā
haar to us ke gale ke na bane ashk mire
dil ko baale hī kā durdāna banāyā hotā
dekhī masjid kī banā maiñ ne ye dil maiñ sochā
kaash is jā koī mai-ḳhāna banāyā hotā
dekhte shauq se chhātī ko lagā bhī lete
dil ko jo ā.īna-ḳhāna na banāyā hotā
hasrat-e-bosa-e-lab kis liye jānāñ rahtī
ḳhaak se mere jo paimāna banāyā hotā
sar ko baazū pe mire aap jo rakh kar sote
zulf kā palkoñ hī se shāna banāyā hotā
chaman-e-kūcha-e-jānāñ meñ jo hotā maiñ 'nasīm'
ġhair ko sabza-e-begāna banāyā hotā