Mushtaq Sadaf

dard ko dard kaho dard ke qabil ho jao

Mushtaq Sadaf

Gopal Ganj, Bihar, India

1969
dard ko dard kaho dard ke qābil ho jaao
aisā bhī kyā hai ki ḳhud dil hī se ġhāfil ho jaao
tum ko tūfān se laḌnā jo nahīñ hai manzūr
phir to behtar hai ki kashtī nahīñ sāhil ho jaao
imtihāñ ishq meñ honā hai to hogā vo zarūr
aag ke khel meñ pahle hī se shāmil ho jaao
is se pahle ki kisī aur kā maiñ ho jā.ūñ
maiñ tumheñ zahr duuñ aur tum mire qātil ho jaao
lau charāġhoñ kī baḌhāne se nahīñ kuchh hāsil
nuur ban ke shab-e-zulmāt pe nāzil ho jaao
saikḌoñ tajrabe be-kār kiyā karte ho
ho mire dard meñ shāmil to mirā dil ho jaao
shor barpā hai ki nikle ho talāsh-e-ġham meñ
maḳhzan-e-ġham hai mirā dil yahīñ dāḳhil ho jaao
ahmaqoñ se jo kabhī vāsta paḌ jaa.e 'sadaf'
baat karne se kahīñ achchhā hai jāhil ho jaao
Top Urdushayar.com