junūñ meñ dhyān se āḳhir phisal ga.ī koī shai
na jaane kis kī duā se sambhal ga.ī koī shai
abhī abhī mirī āñkhoñ meñ kuchh dhuāñ sā uThā
abhī abhī mire siine meñ jal ga.ī koī shai
bahut sambhāl ke rakhne kī ham ne koshish kī
hamāre haath se phir bhī nikal ga.ī koī shai
maiñ jab bhī dekhtā huuñ zindagī kā pichhlā varaq
to aisā lagtā hai dil meñ kuchal ga.ī koī shai
hamārī zindagī garche thī muntashir pahle
jo vaqt aayā to sāñche meñ Dhal ga.ī koī shai
na koī zauq-e-tamāshā na koī rañg-e-hayāt
zarūratoñ ke bahāne badal ga.ī koī shai