ab ke hisār-e-zāt se bāhar nikal ke dekh
shahr-e-gulāb meñ kabhī kāñToñ pe chal ke dekh
jo bhī hai jaisā us ko usī tarz se parakh
us ko badal ke dekh na ḳhud ko badal ke dekh
auroñ kī aag kyā tujhe kundan banā.egī
apnī bhī aag meñ kabhī chup-chāp jal ke dekh
jo tere rāste meñ haiñ patthar paḌe hue
gir ke tū un pe dekh liyā ab sambhal ke dekh
chehra hamesha kyoñ pas-e-ġhāza chhupā rahe
is pe tū apne ḳhuun kā bhī rañg mal ke dekh