na gul se hai ġharaz tere na hai gulzār se matlab
rakhā chashm-e-nazar shabnam meñ apne yaar se matlab
ye dil dām-e-nigah meñ tark ke bas jā hī aTkā hai
bar aave kis tarah allāh ab ḳhūñ-ḳhvār se matlab
ba-juz haq ke nahīñ hai ġhair se hargiz tavaqqo kuchh
magar duniyā ke logoñ meñ mujhe hai pyaar se matlab
na samjhā ham ko tū ne yaar aisī jāñ-fishānī par
bhalā pāveñge ai nādāñ kisī hushyār se matlab
na 'chandā' ko tama.a jannat kī ne ḳhauf-e-jahannam hai
rahe hai do-jahāñ meñ haidar-e-karrār se matlab