Nasim Maysori

sar ko nausha ke mere shah ne bandha sehra

Nasim Maysori

Mysore, Karnataka, India

1839-1888
sar ko nausha ke mire shaah ne bāñdhā sehrā
sūra-e-nūr kā dikhlātā hai jalva sehrā
riish yāqūb ne rakkhī hai ruḳh-e-yūsuf par
chashm-e-bad-dūr ki hai zulf-e-zuleḳhā sehrā
bāġh-e-ulfat se hasīnoñ ne jo kaliyāñ biinī
us parī ke liye pariyoñ ne banāyā sehrā
jadvaleñ sone kī yāqūt raqam ne khīñchī
yā hai mus.haf pe sar-e-lauh mutallā sehrā
jalva-e-tūr kā muusī ko gumāñ ho jaatā
mere nausha jo zarā dekhte sar kā sahrā
sho.ala-e-husn jo un kā na chhupā sehre meñ
ijz se aap ko qadmoñ pe girāyā sehrā
pote paḌpotoñ ke tum bāñdhiyo sar ko sehre
jaisā baabā ne tumhāre tumheñ bāñdhā sehrā
hub kā ta.avīz bane phuul har ik sehre kā
vasl-e-yār us ko ho jis ne tirā dekhā sehrā
ūftāda bhī hai ye aur baḌā shoḳh bhī hai
gul-e-ruḳhsār kā le letā hai bosa sehrā
sehrā jo bāñdhte haiñ hind meñ naushāhoñ ko
chashm-e-bad ke liye shāyad hai ye niklā sehrā
panja-e-mehr se zohrā ne balā.eñ le liiñ
jab 'nasīm'-e-chaman-e-shauq ne likkhā sehrā
Top Urdushayar.com