garche gul kī sej ho tis par bhī uḌ jaatī hai niind
sar rakhūñ qadmoñ pe jab tere mujhe aatī hai niind
dekh saktā hī nahīñ āñkhoñ se Tuk āñkheñ milā
muntazir se misl-e-nargis tere sharmātī hai niind
jab se ye mizhgāñ hue dar par tire jārūb-kash
rū-ba-rū tab se mirī āñkhoñ ke Tal jaatī hai niind
dhyān meñ gul-rū ke chain aatā nahīñ afsāna-gar
le sabā se gaah bū-e-yār bahlātī hai niind
ashk to itne bahe 'chandā' ki chashm-e-ḳhalq se
qurrat-ul-ain-e-alī ke ġham meñ bah jaatī hai niind