saaqī hai garche be-shumār sharāb
nahīñ ḳhush-tar sivā.e yaar sharāb
qatl par kis ke aaj hotī hai
tausan-e-husn par savār sharāb
rakh karam par tire nazar mujrim
nosh karte haiñ be-shumār sharāb
un ko āñkheñ dikhā de Tuk saaqī
chāhte haiñ jo baar baar sharāb
yā alī hashr meñ do 'chandā' ko
āb-e-kausar kī ḳhush-gavār sharāb