gul ke hone kī tavaqqo pe jiye baiThī hai
har kalī jaan ko muTThī meñ liye baiThī hai
kabhī sayyād kā khaTkā hai kabhī ḳhauf-e-ḳhizāñ
bulbul ab jaan hathelī pe liye baiThī hai
tīr-o-shamshīr se baḌh kar hai tirī tirchhī nigāh
saikḌoñ āshiqoñ kā ḳhuun kiye baiThī hai
tere ruḳhsār se tashbīh use duuñ kyūñkar
sham.a to charbī ko āñkhoñ meñ diye baiThī hai
tishna-lab kyuuñ rahe ai sāqī-e-kausar 'chandā'
ye tire jām-e-mohabbat ko piye baiThī hai