Mah Laqa Chanda

aalam teri nigah se hai sarshaar dekhna

Mah Laqa Chanda

Aurangabad, Aurangabad, Maharashtra, India

1768-1824
aalam tirī nigah se hai sarshār dekhnā
merī taraf bhī Tuk to bhalā yaar dekhnā
nādāñ se ek umr rahā mujh ko rabt-e-ishq
daanā se ab paḌā hai sarokār dekhnā
gardish se terī chashm ke muddat se huuñ ḳharāb
tis par kare hai mujh se ye iqrār dekhnā
nāseh abas kare hai man.a mujh ko ishq se
aa jaa.e vo nazar to phir inkār dekhnā
'chandā' ko tum se chashm ye hai yā alī ki ho
ḳhāk-e-najaf ko surma-e-absār dekhnā
Top Urdushayar.com