rakhte haiñ mere ashk se ye dīda-e-tar faiz
dāman meñ liyā apne hai dariyā ne guhar faiz
pur-nūr ajab kyā hai kare mujh ko karam se
rakhtī hai do aalam pe tirī ek nazar faiz
ik jaam pe baḳhshe hai yahāñ rutba jism ko
kis kī nigah-e-mast se rakhtā hai ḳhumar faiz
mahrūm nahīñ koī tire ḳhvān-e-karam se
hai hasr ḳhudā.ī kā hī tujh pe magar faiz
'chandā' rahe partav se tire yā alī raushan
ḳhurshīd ko hai dar se tire shām-o-sahar faiz