rahe nau-roz ishrat-āfrīñ josh-e-bahār-afzā
gul-afshāñ hai karam terā chaman meñ dahr ke har jā
na pūchho koī aish-o-ḳhurramī ko ahd meñ us ke
ki jis ke faiz se ghar ghar hai daur-e-sāġhar-e-sahbā
arastū-jāh vo farruḳh-nazhād-e-ahl-e-ālam hai
ki jis ke fazl-o-baḳhshish kā jahāñ meñ hai alam barpā
duā hai ye mavālī kī tasadduq se a.imma ke
rakhe saa.e meñ apne lutf ke tujh ko alī maulā
nahīñ kuchh zeb ai mehr-e-sip.har-e-ma'adalat is meñ
ayaañ 'chandā' pe jo kuchh hai navāzish ye karam-farmā