dariyā-o-mauj sā kabhī ham se judā na ho
ai but ḳhudā talak bhī tirā āshnā na ho
mahfil meñ is parī kī jo ye dil-jalā na ho
yārab sharāb-e-nāb meñ hī kuchh mazā na ho
us sabz ḳhat ke bose liye maiñ ne ḳhvāb meñ
yārab ġhubār dil meñ kahīñ aa gayā na ho
pilvā rahe ho rū-ba-rū ġhairoñ ko jām-e-mai
aur kahte ho mujhe to mirī jaañ ḳhafā na ho
merī ravish pe kis liye bahkā hai kyā huā
majnūñ se kah do chup bhī ho yuuñ bāvlā na ho
nik.hat se mushk-o-itr kī duniyā mahak ga.ī
paanī nahāne meñ tirā juuḌā khulā na ho
mar hī gayā udhar jo mirā nāma-bar gayā
qāsid ḳhudā ke vāste tū bhī fanā na ho
baḳht-e-siyah zalīl hameñ yuuñ bhī karte haiñ
jis shab vo aa.e ghar ko usī shab diyā na ho
laala ho arġhavāñ ho suḳhan ho gulāb ho
champā ho yāsman ho magar dīliyā na ho
āb-e-ravāñ ho chāñdnī ho sabza-zār ho
nargis kī tarah ġhair koī dekhtā na ho
saaqī ho mai ho gaa.eñ parī-zād sab bahār
sāġhar se jald chalne meñ charḳh-e-dutā na ho
pariyoñ kā raqs rū-ba-rū hotā rahe mudām
pahlū se yaar lab se piyāla judā na ho
sāmān-e-aish gar ye mayassar ho ai 'nasīm'
haT-dharmī hai zabāñ pe jo shukr-e-ḳhudā na ho