basant aa.ī hai mauj-e-rañg-e-gul hai josh-e-sahbā hai
ḳhudā ke fazl se aish-o-tarab kī ab kamī kyā hai
bayāñ maiñ kyā karūñ us ke shabistāñ kā ta'al-allah
qazā-o-qadr jis ke jashn kā ab kār-farmā hai
saḳhāvat meñ koī ham-sar na ho us kā zamānae meñ
vahī kartā hai puurā jis ke dil meñ jo irāda hai
ḳhizar kī umr ho us kī tasadduq se a.imma ke
nizām-ud-daula āsaf-jāh jo sab kā masīhā hai
bahī-ḳhvān-e-karam se hai sadā ummīd 'chandā' ko
kisī kī bhī na ho muhtāj tum se ye tamannā hai