maiñ na minnat-kash-e-añgūr huā ḳhuub huā
chashm-e-maḳhmūr se maḳhmūr huā ḳhuub huā
sho.ala-e-āh mirā nuur huā ḳhuub huā
un kā gesū shab-e-dījūr huā ḳhuub huā
nik.hat-e-zulf se masrūr huā ḳhuub huā
saañp ke zahr se maḳhmūr huā ḳhuub huā
sar jo qadmoñ pe rakhā haath se sarkā na diyā
ijz par mere vo maġhrūr huā ḳhuub huā
aa.e pariyoñ ke pare vasf-e-kamar khulvāne
misl-e-anqā ke maiñ mash.hūr huā ḳhuub huā
is jahāñ ke nazar aate haiñ tamāshe mujh ko
dūrbīñ dīda-e-nāsūr huā ḳhuub huā
ab anal-haq ke kahe par nahīñ maare jaate
is zamāne meñ jo mansūr huā ḳhuub huā
phañs gayā hai kisī gesū meñ dil-e-ḳhāna-ḳharāb
dushman-e-jānī se maiñ duur huā ḳhuub huā
mere darmāñ haiñ badal mardum-e-bādām-farosh
chashm-e-bīmār se ranjūr huā ḳhuub huā
ashk se chashm ke ham zaḳhm-e-jigar dhote haiñ
ḳhūn-e-dil bāda-e-a.agūr huā ḳhuub huā
ham ne duniyā hī meñ jannat kā mazā luuT liyā
mehrbāñ ham pe jo vo huur huā ḳhuub huā
be-hijābāna gale lagte haiñ daur aur chale
chashm-e-bad-dūr vo maḳhmūr huā ḳhuub huā
zānū-e-zohra-jabīnāñ pe dharā rahtā hai
sar mirā kāsā-e-tanbūr huā ḳhuub huā
va.ada shab kā thā mujhe din ko vo dekhā to kahā
nām-e-zañgī ajī kāfūr huā ḳhuub huā
kyā hī ḳhush-go hai 'nasīm' ahl-e-suḳhan kahte haiñ
bāġh-e-hind aap se mysore huā ḳhuub huā