yahāñ qayām se behtar hai kuuch kar jaanā
vo bā-ḳhabar thā jise ham ne be-ḳhabar jaanā
ham us ke dost haiñ kyā zikr-e-vasf-e-yār kareñ
jise ḳhud us ke raqīboñ ne mo'atabar jaanā
jahāñ pe taaq haiñ buġhz-o-riyā ke fan meñ tamām
us ek shaḳhs ne iḳhlās ko hunar jaanā
kuchh us ke saath safar sahl bhī nahīñ thā magar
ab is ke ba.ad to mushkil hai lauT kar jaanā
kisī kā dukh bhī ho samjhā hai apnā dukh us ne
ġharīb-ḳhāna kisī kā ho apnā ghar jaanā