Safdar Siddiq Razi

diye kitne andheri umr ke raston mein aate hain

Safdar Siddiq Razi

1949
diye kitne añdherī umr ke rastoñ meñ aate haiñ
magar kuchh vasf haiñ jo āḳhirī barsoñ meñ aate haiñ
charāġh-e-intizār aisī nigahbānī ke aalam meñ
muñDeroñ par nahīñ jalte to phir palkoñ meñ aate haiñ
bahut āb-o-havā kā qarz vājib hai magar ham par
ye ghar jab tañg ho jaate haiñ phir galiyoñ meñ aate haiñ
miyān-e-iḳhtiyār-o-e'tibār ik hadd-e-fāsil hai
jo hāthoñ meñ nahīñ aate vo phir bāhoñ meñ aate haiñ
koī shai mushtarak hai phuul kāñToñ aur sho.aloñ meñ
jo dāman se lipaTte haiñ garebānoñ meñ aate haiñ
kushāda dast-o-bāzū ko jo patjhaḌ meñ bhī rakhte haiñ
parinde agle mausam ke unhī peḌoñ meñ aate haiñ
Top Urdushayar.com